यह ब्लॉग खोजें

Hindi suvichar part-52

Awasaron ki rah dekhane wale vyakti sadharan hote hain. Jabki asadharan vyakti avasaron ke Janm data hote hai.
 Chandragupt:-Kismat pahale hi likhi ja chuki hai to koshish karne se kya milega? Chankya:-Kya pata kishmat men likha ho ki koshish se hi milega.
Bolna to sab log jante hain prantu kahna kya aur kaise bolana hai yah bahut kam log hi jante hain.

Hindi men Anmol vachar apke liye:



1. Nich manushy ke sath maitri  aur prem kuchh bhi nahi karana chahiye. Koyala agar jal raha hai to chhone se jala deta hai aur agar thanda hai to hath ko kale kar deta hai. - Hitopdesh

2. Daag jo kala nil ka, Sau man sabun dhoy,
Koti jatan par bodhiye, Kaga hans na hoye.-Kabir

3. Jo upckar karane wale ko nich manata hai usse adhik nich koyee doosara nahi hai. - Vinoba

4. Shaktiyon ka ek niyam hai jiske karan chijen samundr men ek khas gaharayee se niche nahi ja sakati lekin nichata ke samundr men ham jitane jahare jaye doobana utana hi aasaan hota hai. - Labail

Suvichar4u-More Pages
51  52   53   54   55   56   57   58   59   60  Next

कोई टिप्पणी नहीं: